🇵🇰 Pakistan Ke Karobar Aur Dukaandaron Ka #1 Khata App
Dukan Aur Karobar Ka Mukammal Hisab Kitab Software — Asaan, Tez Aur 100% Mehfooz
Kaghazi diary aur registeron ke jhanjhat se chhutkara payen. TrueAccounts ke zariye dukan ki daily bikri, customer ka udhaar khata, maal ka stock, aur rozana ka saaf munafa (profit) ba-asaani check karein—chahe dukan par hon ya ghar baith kar mobile par.
✓ Kisi Accountant Ki Zaroorat Nahi
✓ Internet Na Ho Tab Bhi POS Chalta Hai
⚠️ Purane Register Aur Kaghaz Par Hisab Rakhnay Ke Nuqsanaat:
Kaghaz par hisab likhte waqt tareekh ya amount ghalat ho jati hai, customer kehta hai ke maine pichla bill ada kar diya tha aur saboot nahi hota.
Paani girnay, aag lagnay, ya safay phatnay se saalon ki mehnat aur laakhon rupay ke udhaar records hamesha ke liye zaya ho saktay hain.
Galle mein rozana cash to aata hai lekin kharchay nikalnay ke baad asal mein kitna munafa bacha, dukaandar ko andaza nahi hota.
TrueAccounts Se Dukan Chalana Kitna Asaan Hai?
5 Second Mein Fast Barcode Billing
Barcode scanner se item scan karein ya naam type karein. Subtotal, discount, aur GST khud ba khud calculate ho kar thermal receipt print ho jayegi.
Customer Ke WhatsApp Par 1-Click Bill
Mehnga thermal paper bachayein! Har sale ke baad ek click par customer ke WhatsApp number par professional digital PDF bill aur khata statement bhejein.
Customer Udhaar & Recovery Khata
Kis customer ne kitna udhaar ada kiya aur kitna baaqi hai, mukammal tareekh-war record rakhein. Credit limit lagayein taake ziyada udhaar na phanse.
Dukan & Godown Ka Stock Control
Har item ki khareed qeemat, farokht qeemat, aur mojuda stock foran dekhein. Maal khatam hone se pehle automatic low-stock alert mil jata hai.
Internet Na Ho Tab Bhi POS Chalta Hai
Load shedding ya broadband band hone par counter nahi rukega. TruePOS offline bill banata rehta hai aur net wapas aate hi cloud par sync ho jata hai.
Dukan Par PC, Ghar Par Mobile
Dukan par cashier computer par billing kare, aur aap dukan se bahar ya ghar baith kar apne smartphone par live daily sales aur munafa dekhein.
Har Qisam Ki Dukan Aur Karobar Ke Liye Tayyar
Pakistan ke mukhtalif shehron mein hazaron dukaandar TrueAccounts par bharosa kartay hain:
Superstore & Kiryana
Garments & Kapray
Mobile & Electronics
Medical & Pharmacy
Aksar Poochay Janay Walay Sawalaat (FAQs)
Kya is software ko chalane ke liye kisi accountant ki zaroorat hai?
Nahi, bilkul nahi! Iska interface aam dukaandar aur cashier ke liye nihayat asaan banaya gaya hai. 30 minute ke andar koi bhi shakhs billing aur hisab kitab karna seekh sakta hai.
Agar mera dukan ka computer kharab ho jaye to kya mera record zaya ho jayega?
Harghiz nahi! Aapka saara data cloud server par mehfooz hota hai. Aap naye computer, laptop, ya kisi bhi mobile par login karke apna poora hisab wapas pa saktay hain.
Kya internet band hone par billing ruk jaye gi?
Jee nahi! TrueAccounts mein offline mode mojood hai. Internet na honay par bhi sales hoti rahengi aur receipt print hoti rahegi. Net aate hi data khud ba khud sync ho jayega.
Free trial kaise shuru karein?
Aap direct hamaray WhatsApp number (+92 336 2332332) par message karein ya website par Start Free Trial par click karein. Hamari team foran aapko software active kar ke degi.
Aaj Hi Apni Dukan Ka Hisab Asaan Banayein
14 din ka free trial shuru karein aur dekhein ke TrueAccounts aapki dukan ki bikri aur munafay ko kaise barhata hai.
